Tuesday, September 2, 2014

Pakistan ki azaadi ki jad-o-jehad aik naye jhanday, aik naye taranay


Pakistan ki azaadi ki jad-o-jehad aik naye jhanday, aik naye taranay, aur aik nae currency ki jad-o-jehad nahi thi bulke aik nae sooch ki jad-o-jehad thi. Is tehreek ka maqsad bar-e-sagheer k musalmanon kay zehan ko azaad karna tha. Gori chamdi ki aqaon ko gundami rangat walay shehanshaon se tabdeel karna nahi. Aaj ham us hi zehni bandish mein hain jo angrezon ki ghulami mein hamare zehnon pe qufl chadhae huey thi. Insan mar jae tu awaz na buland karsako, vote chori hojae tu khamosh raho kyun yeh tu hota he hai, rishwat maangi jae tu kuch na kaho kyunke phir kaam phans jaega, dakaiti pad jae tu police k paas na jao k phir woh bh rishwat mangengay, waghaira waghaira. BAS!!! BUHUT HOGAYA!!! Is khauff ko ab todna hoga, in quflon ko ab kholna hoga, in raiwaind k yazeedon ko ab dikhana hoga k ham tumharay ghulam nahi hain. Ham is ladae ko jaari rakhengay aur tab tak nahi jaengay jab tak hamein hamari soch ki azaadi, hamara mulk, hamara Pakistan wapis nahi mil jata ...

No comments:

Post a Comment